Gaaye Jaa (Female)

Gaaye Jaa (Female)

Ajay-Atul

Длительность: 5:43
Год: 2015
Скачать MP3

Текст песни

Suraj tera gardish mein hai, dhalte huye keh gaya
"Phir laut ke aaunga main, nazdeek hi hai subah"

Gaaye jaa, gaaye jaa, gham mein hai sargam
Gunguna ye dhun, gaaye jaa
Gaaye ja, gaaye ja, raat ke dhaagon se
Savera bun, gaaye ja
Gaaye ja, gaaye ja, gham mein hai sargam
Gunguna ye dhun, gaaye ja

Apna hi apna kyun kehlaaya hai?
Kaise koi tay karta hai, kaun paraaya hai?
Ek wohi rishta teri kamaayi hai
Dard ke pal mein jisne tera saath nibhaya hai

Toota huaa, to kya? sitaara tu
Kisi ka bann sahara tu

Gaaye ja, gaaye ja, raat ke dhaagon se
Savera bun, gaaye ja (gaaye ja)
Gaaye ja, gaaye ja, gham mein hai sargam
Gunguna ye dhun, gaaye ja

Ho, aankhon mein rakhna sapne tu kal ke
Tujhko lekin un tak jana hoga khud chal ke
Majhdhaaron se tu haar nahin jaana
Saahil tujhko paana hoga lehron mein dhalke

Hai zindagi wohi jo chalti hai
Yeh girke hi sambhalti hai