Girdhari (Krishna Bhajan) (Feat. Krishna Jha & Silent Lyricist)
Anil Jeengar
6:00Chal yaar manane chalte hai Chal yaar manane chalte hai Chal rooh galaane chalte hai Chal yaar manane chalte hai Suna hai wo hai pyaasa bahut Use aansoo hi pilaane chalte hai Chal yaar manane chalte hai Chal rooh galaane chalte hai Saare sehra, saare jangal Sab kohsaar jhatak ke dekhe hai Humne to uski talaash mein Saagar bhi neeche ke dekhe hai Aa aa aa aa aa Saare sehra, saare jangal Sab kohsaar jhatak ke dekhe hai Humne to uski talaash mein Saagar bhi neeche ke dekhe hai Par khud mein hi dekha nahin Mera yaar mere hi andar tha Mandir masjid mein qaid nahin Wo murliwala bheetar tha Aa aa aa aa Mandir masjid mein qaid nahin Wo murliwala bheetar tha Wo anal haq ka naara hai Wo Mansoor ke jaisa pyaara hai Wo Daas Kabir ka kargha hai Wo Meera sa banjaara hai Wo bhool chuka hai humko ab Chal usko sataane chalte hai Chal yaar manane chalte hai Chal rooh galaane chalte hai Chal yaar manane chalte hai Wo Heer ka bhes bana ke bas Raanjhe ko fasaaye rakhta hai Raskhaan na jaane kaise dil mein Kanha ko chhupaaye rakhta hai Wo Heer ka bhes bana ke bas Raanjhe ko fasaaye rakhta hai Raskhaan na jaane kaise dil mein Kanha ko chhupaaye rakhta hai Ye mazhab vazhab jhooth hai sab Preet se bada kuch bhi to nahin Jo ishq mein dooba wo jaana Sufi bhi wahi aur sant wahi Aa aa aa Jo ishq mein dooba wo jaana Sufi bhi wahi aur sant wahi Sab baat usi ki karte hai Par sunta wo kiski hai Jo karna hai wo karta hai Ye sab sajan ki marzi hai Aa aa aa aa aa Jo karna hai wo karta hai Ye sab sajan ki marzi hai O o o Roothe sajan hai aao na Hum unko manane chalte hai Roothe sajan hai aao na Hum unko manane chalte hai Chal rooh galaane chalte hai Chal yaar manane chalte hai Chal rooh galaane chalte hai Chal yaar manane chalte hai Chal yaar manane chalte hai Chal yaar manane chalte hai Chal Lyricist - Anil Jeengar