Zindagi Ek Kiraye Ka Ghar
Aqib Farid
5:40Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula Lekin teri rahmat ka talabgaar hoon, Maula Main banda-e-aasi hoon... Waabasta hai ummeed meri tere karam se Waabasta hai ummeed meri tere karam se Tera hoon, faqat tera... Tera hoon, faqat tera parastaar hoon, Maula Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula Main banda-e-aasi hoon... Baahar ke ujaale mujhe kya raah sujhaayein Baahar ke ujaale mujhe kya raah sujhaayein Andar ke andheron mein... Andar ke andheron mein giraftaar hoon, Maula Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula Lekin teri rahmat ka talabgaar hoon, Maula Main banda-e-aasi hoon... Phir tu mere imaan ko tawaanaai ata kar Phir tu mere imaan ko tawaanaai ata kar Barson nahin, sadiyon se... Barson nahin, sadiyon se main bimaar hoon, Maula Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula Main banda-e-aasi hoon... Ik tera ishaara ho aur aasaan ho mushkil Ik tera ishaara ho aur aasaan ho mushkil Ik lahar uthe aur main us paar hoon, Maula Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula Main banda-e-aasi hoon, khataa-kaar hoon, Maula Lekin teri rahmat ka talabgaar hoon, Maula Main banda-e-aasi hoon...