Downers At Dusk
Talha Anjum
4:16Wakif haqiqat se phir bhi anjaan hein Ashkon se beh jaye reit ka makaan ye Zamaney se mein bhaghi kyun munafiqon mein daghi hoon Mein bhoola apna maazi houn phir hou na mujhse razii tu Mein mushkilon ka adi hoon keh doon mein tujhko kafi kuch per dill baya bayan he Mein meer ka dard hou mein iqbal ka khwaab houn Umeed ki kiran ek mein bas thora sa hazir jawab hoon Kese ghonthte gala is kala ka Zamana jala tha bata toh kara kya? Kya kroun salah ka Likhta jb bala ka phr bhi nahi ban skta mein mar ke bhi Talha sa Zindagi safar yeh kehna asan tha Kya larhta tujhse mein khudse bezaar tha Wo jashan manate phir meri haar ka Bhale mat parhiyo is qabar per Fateha Wo apne anjane na hote toh likhe yeh gaane na hote Aur tum bhi deewane na hote agr hum mashoor e zamane na hote Kala hi kya jisse hona mutasir Wo ulfat hi kesi jo banade kafir Wo safar hi kya jo bhatke na musafir Hum khanabadosh kahan jayein akhir Dare nahi khataro se, ser khole patharo se Khoon lage kapron pey roya bari qabero pey Dill bare sapno se, lar prhe apno se Ankho dekha haal mera, kalam bharey zakhmo ne Wakif haqiqat se phir bhi anjaan hein Ashko se beh jaye reit ka makaan yeh Zamaney se mein bhaghi kyun munafiqo mein daghi hoon Mein bhoola apna maazi houn phir ho na mujhse razii tu Mein muhskilon ka adi houn keh doon mein tujhko kafi kuch yeh dill baya bayan he Aaj kal rahey dil ye udaas mera Saath chal mere dil ye awaaz dera Wese naam mera lete tou kaafi hein Chand lo dil se poochte jo haal mera Baadal sar pe kaali gataa jesa Bina dard zindagi ka mazaa kesa Wese hum tou shuru se hi baaghi hein Maine mout ko khud apna pata bheja Low key maar dhundlete fans ab Camera nikaalein foran jese bolein handsup Police lagi peeche leke handcuff 420 magar log detey mad love Sab ki umeed ke mein kar dun ga set sab Sochta kabhi ke mein chordun kia rap ab I don't wanna leave itne saal tujhe dekh kar Tere bina jeene se marna hi behtar Star wala nai asli ka rapper Phaar dun mein tujh jesa nakli ka rapper Pyaar mera art, mere jaane ke baad bhi karein ge mujhe yaad Ke mein nasli tha rapper Muh se hagtey karein khali shit talk Mera writer tera ataa shitblock Mere gaanay pe teri baby ki tiktok Mere bina pura kese hota idhr hiphop Mera raaj rahega bina taaj ke Mera aaj banega ittehaas ye Jaan daali game mein, gamein meri jaan Tujhe bhook khaali fame ki tu maan ya na maan Teri ek nai zubaan, na koi deen na imaan Tou phir tu kamnasal tou phir tu budguman Kitna kama lega banke beimaan Ik din tuney bhi deni hai rab ko hi jaan Wakif haqiqat se phir bhi anjaan hein Ashkon se beh jaye reit ka makaan yeh Zamaney se mein bhaghi kyun munafiqo mein daghi hoon Mein bhoola apna maazi hoon phir hou na mujhse razii toh Mein muhskilon ka adi hoon keh doon mein tujhko kafi kuch yeh dill baya bayan he Likhe hain gaane bare mai deewano se apne ye kehta raha Likh diye afsanay bare magar kaagzo pe lahu behta raha Mehmano ko sehta raha, ghar meri khushbu se mehka raha Kahaniyan sun sun main behka raha Jab asal me dekha toh qehka laga Dikhawe ki duniya se aajiz hun, ghoot raha Jaise jo barse wo badal hun Baithe umeedo me gusse me aake rahu jane Munafiq munkir hun phir bhi ghar pe daawat du Kis se gila karun, kis ko bura kahun? Kisko main jaake ye kisse bayan karun? Kehte hum dushman tere main dua karu Lafzo ke kaidi hai ghar se reha karu Kalakaar bane veere par insaan nahi Mujhe maloom nahi hai keemat apne naam ki Maal bhut hai par karne na de chaanbin Slumdog millionaire bane mere gandhi Sarhad paar mere yaar puche haal mera Koi sage yaar ni manaunga mai saal girah Chukhe dekha baal mera aake khud hi gaal dera Dein wo misaal meri jaise mai misaal deta Andaaz-e-bayan ye alag itna Tasveere banata raha Chahe apne bhi muqalif ho Gaane toh gaata raha Main Mirza main Ghalib ke jaise Ilm mein izaafa raha Lar lenge bina talwaron ke In haatho se waada raha Wakif haqiqat se phir bhi anjaan hein Ashkon se beh jaye reit ka makaan ye Zamaney se mein bhaghi kyun munafiqon mein daghi hoon Mein bhoola apna maazi houn phir hou na mujhse razii tu Mein mushkilon ka adi hoon keh doon mein tujhko kafi kuch yeh dill baya bayan he