Aye Alamdar E Husain
Mahfooz Sultanpuri
8:08Shimr khanjar ko rok le abhi sukha hai gala Karbala kaap uthi hashr bapa hone laga Dekh Quran se tafseer nikal aai hai Khaime se zainabe dil geer nikal aai hai Roke shabbir bhi kahne lge innahlillah Chakkiya'n pis k paala tha isi din k liye Kya mera raaj dulaara tha isi din k liye Rahem kar shimr mere laal ne kya ki h khata Halq par baap k shamshir jo chalte dekhi Dekh kar kheme se bacchi sue dariya dodi Lashe abbas ne saahil se tadap kar ye kaha Maa k zaanu pe hai sir zabha gala hota hai Wadae tifli kahi you bhi adaa hota hai Baal bikhra k ye zahera ne payambar se kaha Jism zakhmi hai tera kon karega ise saaf Maa hi zulfo se karegi tere maqtal ko saaf Zakhmi pahelu ko karegi tere sir ka takiya Kabhi chalte hue khanjar ko pakad leti thi Kabhi muh dekh k bete ka wo ro leti thi Kabhi rakh leti thi khanjar k tale apna gala ASMAÑ KHOON UGALTA HAI ZAMEEÑ HILTI HAI KYA MUSAFIR PE KAHI ESI JAFA HOTI HAI NOHA MEHFOOZ NE TOOSI KA YE ROO ROO KE PADHA