Lanat Bar Dushmane Zahra
Mesum Abbas
Sakhi Abbasi jari Ya Elahi Mujhay de Ek jari chahiye tarikh e shuja'at ke liey karbala mein mere Shabir nusrat ke liey aur namoos e Payambe(ص) ki hifazat ke liey Ke liey Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho Shukar sad shukar tera shabbar o shabbir diye Betiyan ki hain ata Zainab o Kulsoom (s.a) mujhay Baad iske meri bas aik dua k badle Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho Aina sabro shuja'at ka banana mera Hubaho meri hi tasweer ho bacha mera Usko dekhu toh nazar aaye sarapa mera Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho Koi bay yaar o madadgar agr hojaye Ilteja bahr e madad apni zaban laye Mujhko aawaz koi de woh madad ko aaye Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho Zindagi jiski guzar jaye alamdari mein Apnay baazu bhi kata de jo fidakari mein Sab se aagy nazar aaye jo wafadari mein Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho Naam uska ho jin hoton peh wahan piyas na ho Koi umeed na tootay koi bay aas na ho Yaad kar ke usy tanahi ka ehsas na ho Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho Mere Malik mere honton jab aaye yeh dua Meri aankhon me nazar aany lagi karbobala Mera shabbir musibat mein khara hai tanha Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho Jab woh karbal mein ho chobis pehar ka piyasa Har qadm usay esaar ka jazba dena Aur laal ke haaton ko salamat rakhna Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho Aye kahain hogai maqbool dua e Haider(a.s) Usko mesum kaha hai Fatima Zehra (s.a) ne pisar Aarzo ki thi Ali(a.s) ne jo huzoor e Dawar Ya Elahi mujhay Abbas sa beta dy dy Jab mere ghar me alam hy toh alamdar bhi ho Ghazi Abbasi (a.s) jari Ya Elahi mujhe dy