Bhaj Man Radhe Shyam
Vayuu
3:28Verse 1 :- Khud ko bole das, karte chardhave se sodha Bheed mere dar pe sabme swarth hain iklouta Nandi si pratiksha kisme parvati si nishtha Mera shivaley to bhaav mange, bhang ki na dristha Kaalkoot pia maine jiye taaki yug yen Jala, gala, hala se to bhang rakhi kanth pe Aaj bhi main kalkoot gale me utaaru Yadi koi tapasvi, vish chadha de mujhpe bhav se Man hain kaala, nandi ke kaan ki, mujh tak pahuche na Aansu ka chadhawa tera keval mujh tak pahuchega Main na kehta bhakto saho kast, mujhe priya hain Kast yadi bhakt sahe,peeda ho is seene mein Ksma meri punya yadi tumme pachataap hain Rote pashuo ka bhi ye pashupati nath hain Belpatra se pratham tum man ka do samarpan Pashu rakt thaal mein to vyarth 4 dhaam hain Kaal rok du yadi pukaar markhandey si Har har bole man chhal mujhe bhaaye nahi Tilak laga, chaavi, chilama bhang se na jod Vish ka main premi, kyun tu mange mera krodh Hook :- Mere liye praani saare barabar Karma rakhna saaf jaise gangajal Mujhe bhang nahi vish tere man ka chardha Teri hridye glaani ka main pi lu halahal Pashupati naath pashu priya sab Dhong se na har har japa kar Mujhe bhang nahi vish tere man ka chardha Teri hridye glaani ka main pi lu halahal (X2) Verse 2 :- Tum aate dhaam pe aatma bech ke bazaar mein Ravan ki bhaati bal koi swarn dhan chaah mein Bhakto ka bas roop hain, vyapari jhanke aankh se Saare karte soda mere nandi ke bas kaan mein Hridye se toota ashru baha main milaunga samne khada tere Ashru hain is shiv ki aarti, ashru shivling chadra tere Ravan kyu tum bane pade main khoj mein kisi vibhishan ki Goonj ho swarth ke har har ki waha rehta nahi main pal bhar ki Bhagto ka main traan karna, pakhando ka traas bhi Bannasur swikaaru, haru bakasur ki praan bhi Bano tum bhagirat mango, mujhse mujhe sada Man hain ganga bhakt ki to fhir se kholu jata Man ko tere saja mera priya shivling man Jab dagmagaye lokh bandhu kanth halahal Brahmand ko bachane hetu vish pe bhang rakha Tu kisi bachara bhaang pi mere naam par Sone chandi thaali ke, ye vyasan na swikaaru main Ashru mere bhakto ke bas girte in jatao mein Mera vaha astitva na jaha nachta adharma Bhend chadha kuch bhi mujh tak pahuche, bhav, karma Bolo har har kintu man ke vish ko maar ke Bhakti aur samarpan hi to mera ek prasaad hain Tilak laga, chaavi, chilama bhang se na jod Vish ka main premi, kyun tu mange mera krodh Hook :- Mere liye praani saare barabar Karam rakhna saaf jaise gangajal Mujhe bhang nahi vish tere man ka chardha Teri hridye glaani ka main pi lu halahal Pashupati naath pashu priya sab Dhong se na har har japa kar Mujhe bhang nahi vish tere man ka chardha Teri hridye glaani ka main pi lu halahal