Mere Yaar Aaye Ho Apne Watan Se

Mere Yaar Aaye Ho Apne Watan Se

Mohammed Aziz

Альбом: Yaadon Ke Mausam
Длительность: 6:59
Год: 1990
Скачать MP3

Текст песни

Mere Yar Aaye Ho Apne Watan Se
Mere Yar Aaye Ho Apne Watan Se
Ke Aati Hai Mitti Ki Khusbu Badan Se
Mere Yar Aaye Ho Apne Watan Se
Ke Aati Hai Mitti Ki Khusbu Badan Se
Ke Aati Hai Mitti Ki Khusbu Badan Se

Waha Chand Ab Bhi Niklata To Hoga
Waha Chand Ab Bhi Niklata To Hoga
Meri Maa Ke Chehre Se Jalta To Hoga
Meri Maa Meri Yad Me Khoyi Khoyi
Bana Ke Duao Ka Tabij Koi
Lifafe Me Rakhke Bahut Royi Hogi
Wasu Se Meri Yad Phir Dhoyi Hogi
Magar Phir Bhi Yade Kaha Ruk Saki Hai
Namajo Me Ankho Se Bahne Lagi Hai
Mere Yar Aaye Ho Apne Watan Se
Ke Aati Hai Mitti Ki Khusbu Badan Se
Ke Aati Hai Mitti Ki Khusbu Badan Se

Bahan Meri Sardi Ke Mosam Me Ab Bhi
Bahan Meri Sardi Ke Mosam Me Ab Bhi
Mere Vaste Un Bunti To Hogi
Koi Tana Dega Kaha Tera Bhaiya 
To Phir Use Din Bhar Jhagadti To Hogi
Jo Rat Aayegi To Subakane Lagegi
Wo Sone Ki Kosis Me Jagne Lagegi
Tadapkar Yakayak Uthegi Palang Se
Chale Aao Bhaiya Wo Chithi Likhegi
Mere Yar Aaye Ho Apne Watan Se
Ke Aati Hai Mitti Ki Khusbu Badan Se
Ke Aati Hai Mitti Ki Khusbu Badan Se

Sunata Hu Ab Ek Sitamgar Ka Kissa
Ke Jisne Banaya Mujhe Dil Ka Hissa
Wo Khwabo Me Apne Mujhe Roj Lake
Kabhi Ruthti Or Manti To Hogi
Kabhi Bekhyali Me Sajti To Hogi
Andhere Me Sawan Ki Biji Se Darkar
Bahut Der Tak Meri Yado Ki Khusbu 
Nigaho Se Uski Barsaati To Hogi
Nigaho Se Uski Barsaati To Hogi
Mere Yar Aaye Ho Apne Watan Se
Mere Yar Aaye Ho Apne Watan Se
Ke Aati Hai Mitti Ki Khusbu Badan Se
Ke Aati Hai Mitti Ki Khusbu Badan Se