Chor Bazari Phir Se (From "Bhool Chuk Maaf")

Chor Bazari Phir Se (From "Bhool Chuk Maaf")

Pritam

Длительность: 3:02
Год: 2025
Скачать MP3

Текст песни

Chor-bazaari do nainon ki pehle thi aadat jo, hat gayi
Pyaar ki jo teri-meri umr aayi thi, wo kat gayi

Tu bhi tu hai, main bhi main hoon, duniya saari, dekh, ulat gayi
Tu na jaane, main na jaanoon kaise saari baat palat gayi
Ghatni hi thi ye bhi ghatna, ghat'te-ghat'te lo ye ghat gayi
Haan, chor-bazaari do nainon ki pehle thi aadat jo, hat gayi

Jhoomariya-jhoomariya manwa, ban baaghi sa
Jhoomariya-jhoomariya tanwa, bedaaghi
Man mera dhad-dhad-dhad dhadkaaye
Koi na phir sar-sar-sar chadh jaaye
Kasam se, baazi haath na apne aaye nain agar lad jaaye

Taareef teri karna, tujhe khone se darna
Haan, bhool gaya ab tujhpe din mein chaar dafa marna
Taareef teri karna, tujhe khone se darna
Haan, bhool gaya ab tujhpe din mein chaar dafa marna

Pyaar-khumaari utri saari, baaton ki badli bhi chhat gayi
"Ham" se "main" pe aayi aise, mujhko to main hi main rat gayi
Ek hue the do se donon, donon ki ab raahein bant gayi
Haan, chor-bazaari do nainon ki pehle thi aadat jo, hat gayi

Bade hi nain lada ke se
Lade the roz bazaaron mein
Kisi ko dhoondh hi lete the
Sadak pe roz hazaaron mein
Behes nahin kam-kam-kam karte
Na ab ye gham-gham-gham karte
Badal gaye dheere-dheere do naina
Mera kya-kya-kya kehna

Haan, chor-bazaari do nainon ki pehle thi aadat jo, hat gayi
Ek ghoont mein duniyaadaari ki main saari samajh nigal gayi