Aise Kyun (Ghazal Version)

Aise Kyun (Ghazal Version)

Rekha Bhardwaj, Anurag Saikia, Raj Shekhar, And Mismatched - Cast

Длительность: 5:30
Год: 2022
Скачать MP3

Текст песни

Aise kyun kuch toh likhti hoon
Likh ke mitati hoon main raat-bhar?
Aise kyun baatein khud ki hi
Khud se chhupati hoon main aajkal?

Par yeh sab sochna
Dil ko yoon kholna
Sab kuch keh kar hi
Sab ko batana zaroori hai kya?

Aise kyun?
(Aise kyun? Haan, kyun?)
(Haan, kyun woh kuch bole na?)
(Aise kyun? Haan, kyun?)
(Haan, kyun woh kuch bole na?)

Aise kyun uske honthon pe
Achchha lagta hai mera naam?
Aise kyun kuch bhi bole woh
Mann mein ghulta hai zafraan?

Girta hai gulmohar
Khwabon mein raat-bhar
Aise khwabon se
Baahar nikalna zaroori hai kya?

Aise kyun? Haan, kyun?
Haan, kyun woh kuch bole na?
Aise kyun? Haan, kyun?
Haan, kyun woh kuch bole na?

Aksar tumse mil kar
Mujhko ghar sa lagta hai
Phir kyon dil hi dil mein
Koi darr sa lagta hai?

Aksar tumse mil kar
Mujhko ghar sa lagta hai
Phir kyon dil hi dil mein
Koi darr sa lagta hai?

Beeta jo waaqya
Sochun main kyun bhala?
Beeti baaton se
Dil ko dukhana zaroori hai kya?

Aise kyun? (Aise kyun?) Haan, kyun?
Haan, kyun woh kuch bole na?
Aise kyun? Haan, kyun?
Haan, kyun tu kuch bole na?

Bole na, bol kuch, bol
Bol kuch, bol, bole na