Al Rahman
Abdel Rahman El Ousi
Sapnay sajaye hue jab dekha tou Hue wou khaak say raakh Likhne mai betha hu aaj Tou nikley gi phir wahi baat say baat Kitna hi maangu tujhe Jaaga tha kitni taak ki raat Jou karte thay waada kay dengein sahara Ab wahi nahi saath mein aaj Mai rahu bechein ab chein nahi kahi hai Qalam jab uthe tou likhtey hain saheefay Aur meri nahi samajh mein atay yeh tareekay Tujhe di jeet haan maana tum sahi thay Jaha tha chora hum abhi tak wahi hai Wou puchein hum kehtey hum sahi hain Mai toota hu kitni baar, yeh haal behaal Ab ginti mein nahi hai Kahu emaan say, tou tere naam say Darta hai dil yeh kesa rog Zara sambhaal kay, rakh dehaan say Dil yeh parhgaya kamzor Mere sawaal kay kahi jawaab nahi Mujhse kehte aksar log Mere khayaal mein dekhein aap jhaank kay Dikhta hai bus ab afsos Ghut'ti saansein Akelepan say karli kitni baatein Kaatu zindagi mai kese kiya ehsaas hai Asamaan ka rangg batata kiya mizaaj hai Tum bhi jaantay Yeh ansu leke behgaye wou saari kashtiya Jou bani kaghazou ki Jinpay likhi dastaan Kahaani jou humari ansu'ou ki Yeh ansu leke behgaye wou saari kashtiya Jou bani kaghazou ki Kahaani iss jahaan ki Tumhari aur humari halatou ki Ab bhi jab dekhte kabhi hum murh kay Wahi samaa hai wahi halaat hai Ab jab kabhi bhi sochte Tere bin jeena bhi kesa azaab hai Tum dekhou tou mere hisaab say Tujhe jab paaya tou miley malaal hain Jou samajh mai betha tha pyaar Adat k naam say bikta bazaar mein Aur ab tou saans bhi lena hasaas hai Teri yaadein sameitein hum paas mein Ab khou kay betha jou hosh Tou lagti na bhook na lagti ab pyaas hai Din dhaley tou shaam Uss shaam say intezaar hai Kay khatam bhi hougi yeh sabar ki ghari Hum waqai kafi bezaar hain Thouri maan lete baat tum Saath mere chaltay tou sahi Haan maana jaa chukay Hou tum par dil mein mere bastay hou ab bhi Yeh ansu leke behgaye wou saari kashtiya Jou bani kaghazou ki Jinpay likhi dastaan Kahaani jou humari ansu'ou ki Yeh ansu leke behgaye wou saari kashtiya Jou bani kaghazou ki Kahaani iss jahaan ki Tumhari aur humari halatou ki