Main He Wo Krishna
Shlovij
4:32Main Vasudev Krishna Adharma ka uthta seesh kahi to sudarshan rakt ka pyaaso ho Kalyug mein ye vasudev le janam nirantar aata jo Avatarit main har kahi, na chakshu, har kisi ke pehchaane nahi Har yug hawankund me kauravo ko jo chardhaye krishna main vo Dekhe arjun roop kanpa tha, droupadi ka vastra main bana Bandhe jab tha duryodhan mujhe, mujhme dekhi marti sristhiya Ukhaada kans badha andhkaar, kaat daala chakra shishupaal Mukh pe jab ho kaal garjala, to nasle Ravao ki du mitta Kaal, ki dhaar, kayi yugo se aaya kali ko cheer main Satya aur dhamra, ko jo beche lu fhir praan kheech main Anyay ke virudh, jo garje uska shastra banu main Dharma ki raksha, jo kare vo manav yahi krishna hain Dwarika mein jo reh gayi main vo katha nahi hu, Kalyug ko diya janam maine har yug mein main hi hun Aaj bhi karta main mahabharat, aaj bhi chunta main bas pandav Ye sab lay or leela meri, mera hain manch jagat natak Raas nahi main ran hu vo meri surya netra hain agni swans Badhega jitna adharam, to mera hoga utha hi roop viraat Charan jaaha pade samay ruke or bhuja khule to tote dhisha Mrityu kholegi laakho dwaar jab aaunga le kalki avataar Hook :- Main vasudev krishna - janm mrityu rangmach mere Main vasudev krishna - sanghaar janme mere pairo tale Main vasudev krishna - is Maun samay ki goonch hu main Main vasudev krishna - main jagat data jagdeesh hare Verse 2 :- Har shishu ki pehli saans mein, main hi jeevan ka gaan hun Manav ki antim khamoshi, antim main hi har gyaan hun Na bhay mujhko koi chu paaye, graho ka shankhnaad hu Trikaal paar hu baitha kalyug mein bhi main treta hun Deh me na bandh saka main, na ved mujhko naap paaye Seena cheera manavo ka, nar pishaach jab ban aaye, Ran ka roop, leta khoob, main hu pralay ki pehli dastak Sima paar, aparaadh har shisdhupaal ke liye main sudarshan यदा यदा हि धर्मस्य ग्लानिर्भवति भारत अभ्युत्थानमधर्मस्य तदात्मानं सृजाम्यहम् परित्राणाय साधूनां विनाशाय च दुष्कृताम् धर्मसंस्थापनार्थाय सम्भवामि युगे युगे Aarti, vaeid na stuti na kavya, jaha dharma hain vaha vasudev Mujhme hi mati or mantra upajte, hain om ka taal vasudev Jagat ko beendhe akele vo sutra main, na keval hain katha vasudev Indriya thake chitt maun ho jaaye jo shesh bache, main vo vasudev