Main Vasudev Krishna
Vayuu
4:07Yudh ko dedo o madhav vishram Apno ke praan le kamnpege haath Tyagu ganndiv main lelu vanvaas Is bhayavah khel ka kya hi parinaam Sunn hain hrdiya se brahmit hu aaj Apne hi vansh ke haru kyu praan Jo nagar base apne kul ke shavo pe Chhaiye na hume us bhoomi ka taaj Udhar baan laga pita mah ko aur peeeda ki cheekh yaha mere hi hogi Udhar lahu baha taat shree ka sang parajey bhi meri bahegi Guru dron jinhone har gyaan diya, apne sishyo me sarvochta sthna diya Jinse sikha pratyancha chardhana talvar koi kaise un aage uthegi Kaise banne du he madhav ran bhoomi ko apne hi kul ka shamshaan main Jin haaton ne chhuye hain charan vo haath kyu chale hain seesh ko kaatne Apne hi bhaiyo ke lahu ka pyaasa kulnasak na ban sakta main Drashya bhayavah ki kalpana matra se lagi hain aatma kanpne Ho raha laakho cheeta ka abhaash Sunu vidhvao ka maran vilaap Dikh raha bujha gharo ka chiraag Kaano mein aarahi maao ki pukaar Lahu hi lahu hain bhoomi gulaal Kate hain sheesh jo lagi kataar Bhai hi bhai ko raha ujaad Yudh ye kar sakta madhav main na Madhav main na, kar sakta paapi ye yuadh Bhale duryodhan ne kiya sadev hi saath humare kapat Dand bas unhe mile jisne kara panchali ka cheel haran Lahu ki varsha mein kyu hi bheegega nishpaap ye aryavrat Baha pau na apno ka rakt, kul daha to jaunga nark Kaise main apne aachayo, bhaiyo, mitro ko dekhunga mrit Thaam do yudh ye mang ke bhiksha je lunga dara hain man Tyaagu main 4 gava aur de dunga kouravo ko indraprasth Hey keshav main kya hi karu, mujhe kuch to batao Moh chalave se mujhe bachao Marichika mein ye dhase hain netra Gira ja raha aur uth bhi na paau Guru mere meri budhi hain brahm mein margdarshi mujhe marg dikhao Sharan mein aaya tumhari he madhav kya sahi galat mera bhed mitao Apne hi kul ke maran se kaise ho dharm sthapit Sheet in swaro mein kaafi Apne hi haaton se apne ke praan har, chita mein agni na du main kada bhi Raah do swami, kya anuchit aur uchit pada hain brah mein rahi Gyan ki jyoti jalao hey, madhav, hey sarthi, bhagwan mere chakradhaari