Ram Lala
Vishal Mishra
4:34Aaj gali-gali Awadh sajayenge Aaj pag-pag palak bichhayenge Oh, aaj gali-gali Awadh sajayenge Aaj pag-pag palak bichhayenge Aaj sookhe huye ped phal jaayenge Naina bheege-bheege jaayein Kaise khushi yeh chhupayein, Ram aayenge Kuch samajh na paayein Kahaan phool bichhayein, Ram aayenge Naina bheege-bheege jaayein Kaise khushi yeh chhupayein, Ram aayenge Kuch samajh na paayein Kahaan phool bichhayein, Ram aayenge Sarju jal-thal, jal-thal royi Jis din Raghav huye paraaye Oh, birha ke sau parbat pighle Hey Raghurai, tab tum aaye Yeh wahi kshan hai niranjan Jisko Dashrath dekh na paaye Saat janmon ke dukh kat jaayenge Aaj Sarju ke tat muskayenge Mor nachenge, papihe aaj gaayenge Aaj dason yeh dishayein Jaise shagun manayein, Ram aayenge Naina bheege-bheege jaayein Kaise khushi yeh chhupayein, Ram aayenge Kabhi dhol bajayein Kabhi dwaar sajayein, Ram aayenge Kuch samajh na paayein Kahaan deep jalayein, Ram aayenge Jaake aasmaanon se taare mang laayenge Kaushalya ke Lalla ji, tumhin pe sab lutayenge 14 saal jo roke, woh aansoo ab bahayenge Awadh mein Ram aayenge, humare Ram aayenge Neel-gagan se saanwale, koti Surya sa tej Narayan taj aaye hain Sheshnaag ki sej "Raghav, Raghav" karte the yug-yug se din-rain Aaj Prabhu ne daras diya, dhanya huye hain nain Natmastak hain teen lok Aur sur-nar karein pranam Ek Chandrama, ek Surya Ek jagat mein Ram Ek jagat mein Ram Aaj dason yeh dishayein Jaise shagun manayein, Ram aayenge Naina bheege-bheege jaayein Kaise khushi yeh chhupayein, Ram aayenge Kabhi dhol bajayein Kabhi dwaar sajayein, Ram aayenge Kuch samajh na paayein Kahaan deep jalayein, Ram aayenge