Jeene Ke Liye

Jeene Ke Liye

Abhijeet

Длительность: 3:42
Год: 1994
Скачать MP3

Текст песни

Jeevan se bhari teri aankhein
Majboor kare jeene ke liye, jeene ke liye
Sagar bhi taraste rehte hain
Tere roop ka ras peene ke liye, peene ke liye
Jeevan se bhari teri aankhein

Tasveer banaye kya koi
Kya koi likhe tujh pe kavita
Rangon-chhandon mein samayegi
Rangon-chhandon mein samayegi
Kis tarah se itni sundarta, sundarta?

Ek dhadkan hai tu dil ke liye
Ek jaan hai tu jeene ke liye, jeene ke liye
Jeevan se bhari teri aankhein

Madhuban ki sugandh hai saanson mein
Baahon mein kamal ki komalta
Kirnon ka tej hai chehre pe
Kirnon ka tej hai chehre pe
Hirnon ki hai tujh mein chanchalta, chanchalta

Aanchal ka tere hai taar bahut
Koi chaak jigar seene ke liye, seene ke liye
Jeevan se bhari teri aankhein
Majboor kare jeene ke liye, jeene ke liye
Jeevan se bhari teri aankhein