Kalki Avahan The End Of Kalyug
Vayuu
3:28Priye hain sadhu sant, priye hain geeta granth Priye hain maharaj ji shree ji or ek vrindavan Priye hain krishna rang, priye hari vachan Jape jo radha naam priye mujhe har vo man Main aisa nahi tha pehle badal diye mujhe vo Main giru to fhir haath thaam lete aake vo Galat karne nahi dete rokte aake vo Main koun hu kaha se aaya sab samjhaate vo Ekantik, jeevan ka ang ban chuka hain Mujhpe maharaj ji ka rang chadh chuka hain Sona chandi tyaag ke pehnli mala tilak— Log kehte hain ke vayuu bhi sant ban chuka hain Radha naam japu, maya se ab ladu Mile jaha paap, us raste na chalu Premanand ji maharaj ko, subha shaam sunu Saarthi baba mere or parth main unka banu Prabhu ki hain maya bachhe budhe aur jawaan Koi counter koi mala leke jap rahe saare naam Bhatka janmo laakh, ye janam bada khaas Main mar chuka tha mujhe daali unki vaani praan Parmatma ka ansh hu vastavikta meri Kaya or maaya ka saara parda hata diya Pehle jaisa tha main vo to mar chuka hain Maharaj ji ne mujhe bilkul naya bana diya Hook :— Mere prabhu hi roop leke aaye main tha anath Na bhay hain kisi ka jo hain radha rani saath Jaisa angad ne pav rakha ram ke prataap se— Main guru ke prataap se maya karu paraast (X2) Verse 2 :— Bacha liya jeevan mera hone se ye vyarth Adharma ki har seema paar kiya main anarth Sukhuo ki khoj mein jeevan barbaad kar deta Par shree ji ko paa lena hain sukho ka asli arth Hari ne roop liya hain baba ke is bhes mein Sote dharma ko jagaya ram ke is desh mein Kya hota hain sadhu praani kalyug ke ye dekh rahe Jabse bana naam jaapak kalyug mujhe shesh nahi Maharaj ji ka bal, saath mere sada Kho jaau main yadi, to vrindavan milunga Radha vallabh shree harivansh, dil ko yahi bhata Radha rani ke charno ki kutiya me main rehta Hridey me tha paap, keval lobh, keval dvesh Ab kripaa se dharma hain bhakti hain thodi hain daya Pehle jaisa tha main vo to mar chuka hain Maharaj ji ne mujhe bilkul naya bana diya Hook repeated