Vo Hain Mahadev
Vayuu
3:42Adharm har ek yugo mein ek naya roop leta hain Vo kaurav kabhi ravan, man hi danav ban aa jaata hain Kayugi adhamra ke aadhunik dekho rang kayi Praan priya phone ye tumse kara dega kukarma kayi Ek dwapar mein jue ke karan dropadi nirvastra hui Dyut sabhi agle ki kshan mahabharat lahu ki nadhi bani Aaj ka ye kala yug bachho ka jua khel hain Punji sab lagate ye aaduk dyut apps mein Gurukul balak hain vilupt, bhatke instagram hain Bhagwat geeta chhut gayi ab vyarth krishna gyaan hain Maat pita ke kavad hetu shravan kaha se aayege Madira paan ke kampit haaton se kaise dharma bachayenge Bharatvarsha rang bhed mein karta kabhi na antar tha Vigyapan dharshaatre ab ke rang gora hi sundartha Dekho apne aadarsho ko kya karte promote Deke laalach dhan ka jua ka vish bharte roz Satyug treta dwapar me har hridye mein daya aur dhamra tha Maryadha thi tyaag tha vachan ka nirvahan sarvasva tha Rishi tapovan lipt dhayan mein hari bhi doude aate the Ab maans madira taas ko manav apna shorya batata hain Muh ko ram ka naam na bhata, bhaati gaali ninda Satya bikta swarth ke hetu aastha ka hain dhanda Sati savitri, sita maa ki koun hi gaatha gaati hain Ab views ke lob mein aaj ki naari nirvastha ho jaati hain Haath bandhe hain phono se ye kalyug priya yantra Scam se harta dhan ko mavan aadhunik shadyantra Web series ko dekhe balak man me bas apraadh bharte Maat pita ko maare kaate jo dekha vo karya karte Kalyug ke hain shstra ab screen, server, web Talvaaro ka yug gaya ek click leta praan Sahstra, ved, grandh bhoole, followers hain yaad Shakuni ke paase internet ban chuke aaj Ram siya sa pavan prem to hrdiya me rakha jaata hain Kalyug ka ye prem story, status tak reh jaata hain Door kisi se dating appse pe online prem jatate Vivah kiya jisse usse na karte prem ki baate Brahmastra ka naya janam banke aaya Otp Kano mein earphone hain kundal tilak bache nahi Jeevan nark bananega ka subscription le raha yuva Kalyug ke arjun ne follower ko pehle chuna Kalii dikhega nitya tumhe nachta roz reels pe Jeevo ki ab hatya karte network 5G se Ravan ke hain 10 sir dekho dark web screen pe Bhagwan ko chunoti de raha manav live stream pe Dekho apne aas paas kalyug se palti dharti hain- Nar roopi kalyug ko na ab narayan se koi bhay hain Abhimanyu jo social adharmi viu mein fasega Durupyog mein abhimanyu ki mrityu ka hone tay hain Outro :- Na betting apps gour karo na phone ka durupyog karo Dharma ko samjho, sikho sanantan bharat ka shorya bano Aadharsho ko sahi chuno, rang bhed ko tyaag chalo Prabhu ram ki dharti pe bas prabhu ram ka marg chuno Sach bolna yagya hain, har karya seva bhakti hain Digitally is yug mein ek prahladh tujhme jeevit hain Dharma jeeta sada, kaliyug ki bhi shesh ramayan hain Kalyug tujhse door rahe agar mukh pe naam narayan hain