Phir Mohabbat
Mohammed Irfan
5:30Khamoshiyan aawaaz hain Tum sunne toh aao kabhi Chhoo kar tumhein khil jaayengi Ghar inko bulaao kabhi Beqaraar hain baat karne ko Kehne do inko zara Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan Khamoshiyan, lipti hui khamoshiyan Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua Jahan se zamane ko guzre zamana hua? Mera samay toh wahin pe hai thehra hua Bataun tumhein kya, mere saath kya-kya hua Mmm, khamoshiyan ek saaz hai Tum dhun koi laao zara Khamoshiyan alfaaz hain Kabhi aa, gunguna le zara Beqaraar hain baat karne ko Kehne do inko zara, haan-haan Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan Khamoshiyan, lipti huyi khamoshiyan Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahan Khili chaandni mein chhipi lakh khamoshiyan Baarish ki boondon ki hoti kahan hai zubaan Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan Khamoshiyan aakash hain Tum udne toh aao zara Khamoshiyan ehsaas hain Tumhein mehsoos hoti hain kya? Beqaraar hain baat karne ko Kehne do inko zara, haan Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan Khamoshiyan, lipti hui khamoshiyan Khamoshiyan, teri-meri khamoshiyan Khamoshiyan, lipti hui khamoshiyan